Saturday, March 31, 2012

Kia Mirza Qadyani ne Pishein-Goiyan b kien? Kia Is Pishein-Goiyan Suchi Sabit huin?

Mirza ne boht si Pishein-Goiyan kien, Jo Aksar Jhooti Niklein. In mein se kuch ye hain:

1. 1893 mein Mirza Gulam Ahmad Qadyani ne Isai Munazir "Abdullah Aathim" se Munazra kia. Mirza Gulam Ahmad Qadyani Shikast kha gia. Apni khiffat mitane ki liye is ne Isai Munazir k bare mein Apni Kitab [Jung-e-Muqaddis P:209-211] mein Pishein-Goi ki k Jitne din tk Munazrat hota raha, Itne dino k Andar Andar Aathim "Hawia" mein Ja gire ga & Halak ho ga & Agr Zinda bach gia to Main Jhuta Sabit hun ga.
Laikin Abdullah Aathim Muqar'ra wqt k Andar na Mra & Mirza ki ye Pishein-Goi Jhooti Sabit hui.

2. Mirza ne Apni Kitab [Al-Bushra P:155] Pishein-Goi ki: "Ham Makkah mein Mrein ge ya Madina mein."
Laikin Makkah/Madina mein mrna to door, Mirza Qadyani ko Makkah & Madina deikhne ki Sa'adat b Naseeb na hui.

3. "Mohammadi Beigam" Mirza Qadyani k Mamu-Zad Bhai "Mirza Beig Ahmad" ki No-Umar larki thi. Mirza ki Beiti'on k braber thi. Mirza ne Zbardasti Use apne Nikah mein lane ka Irada kia. Larki k bap ne Inkar kr dia & Larki ki Shadi Aik Dusre Shakhs "Mirza Sultan Ahmad" se kr di. Mirza ne 1 Ishtihar [20 Feb 1886] mein ye Dhamki Aameiz Pishein-Goi ki:

1) Larki ka Walid, Ahmad Beig 3 Sal k andar Foat ho jaye ga.

2) Mohammadi Beigam ka Khawind 2.5 Sal mein Foat ho jaye ga.

3) #Mohammadi Beigam mere Nikah mein aye gi."

Laikin ye Pishein-Goi galat sabit hui. Kiun k Ooper wale 3 Dawon mein se Aik b Sucha Sabit na hua.
Mohammadi Beigam ka Khawand Mirza Qadyani k Marne k bad b 40 sal tk Zinda raha & 1948 mein Foat hua. Khud Mohammad Beigam 1966 mein Ba-Halt-e-Islam Foat hui. Mirza Qadyani Bechara is Larki se Nikah k liye Tarasta hi Mar gia.
Aaj b koi Sahib-e-Aqal Mohammadi Beigam k Waqia ko deikh kr Mirza k Jhute & Aubash hone ka Ba-Aasani Yaqee kr skta he.

Friday, March 30, 2012

Mirza Qadyani k Jhoot bolne k Suboot?

Mirza #Qadyani ne Be-Shumar Jhoot bole. In mein se Kuch ye hain:

1. Mirza ne Apni Kitab [Peigam-e-Sulah P:27] mein likha: Tarikh ko dekho k Aanhazrat (S.A.W) Wohi 1 Yateem larka tha, Jis ka bap Peida'ish se Chand din bad hi Foat ho gia tha."
Mirza Qadyani ka ye Jhoot itna Waze he k Mazeed Hwale dene ki Zrurat hi nhi. Har Shakhs ko Maloom he k Hazrat Mohammad (S.A.W) k Walid Majid, Aap (S.A.W) ki peida'ish se pehle hi Foat ho Chuke the. Aap (S.A.W) Yateem paida huye the.

2. Mirza ne apni Kitab [Chashma-e-Marfat P:286] mein likha: "Tarikh-Dan log Jante hain k Aap (S.A.W) k Ghar 11 larke paida huye & sb k sb Foat ho gaye the."
Mirza ka ye Dawa khula Jhoot he. Is ko deikh kr Adna si Aqal rakhne wala Shakhs b Mirza ko kisi bat mein Sacha Yaqeen nhi kr skta.

3. Mirza Qadyani ne Apni Kitab [Azala-e-Auham P:34] mein likha: "3 Shehron ka Nam Izaz k sath Quran Shareef mein Darj kia gia he: Makkah, Madina & Qadyan."
Ye Srasar Jhoot he. Hr Quran-e-Pak parhne wala Janta he k Qadyan Nam ka koi Lafz Mohammad-e-Arbi (S.A.W) pe Nazil hone wale Quran-e-Kreem mein nhi he.

Thursday, March 29, 2012

Mirza Gulam Ahmad Qadyani, Jis ne Nubuwat ka Dawa kia, wo kaisa Aadmi tha?

Mirza Gulam Ahmad Qadyani parle darje ka Jhuta Shakhs tha, Us ne Be-Shumar Jhoot bole, Boht se Dawe kiye, Boht se Pishein-Goiyan kien, Jo Galat Sabit huin. Wo Musalmano ko Galiyan deta tha, Angrez ka Agent tha.

Tuesday, March 27, 2012

Anbia (A.S) ki kon kon si Khususiyat hain, jo Mirza Gulam Ahmad Qadyani mein nhi hain?

Anbia (A.S) ki Kuch Khas Khususiyat ye hain:

1. Tmam Anbia (A.S) k Nam Mufrid hain. Jaise "Hazrat Adam (A.S)", "Hazrat Nooh (A.S)", "Hazrat Isa (A.S)", "Hazrat Musa (A.S)" & "Hazrat Mohammad (S.A.W)". Leikin Mirza ka Nam "Gulam Ahmad" Murakkab (yeni 2 Alfaz pe Mushtamil) he.

2. Tmam Anbia (A.S) pe un ki Madri Zuban mein Wahi Nazil hui, Jb k Mirza k Mutabiq is pe Punjabi, Hindi, English, Arbi (etc...) 10 Zubano mein Wahi Nazil hui.

3. Tmam Anbia (A.S) pe Hazrat Jibra'eel (A.S) Wahi le kr aye, Jab k Mirza k Mutabiq is pe Wahi lane wale Farishton k Nam "Tichi Tichi", "Roshan Deen" & "Mithan Lal" the.

4. Kisi Nabi ka koi Ustad nhi hota. Jb k Mirza Gulam Ahmad ne "Fazal Ilahi", "Fazal Ahmad" & "Gull Ali Shah (Shiya)" se Zahri Uloom & Apne Walid se Tip parhi.

5. Tmam Anbia (A.S) Jismani Lihaz se Haseen & Khubsurat the. Jb k Mirza k Nuqoosh meim Twazun na tha, Qad-o-Qamat mein Tnasub nhi tha, Aik Aankh se Kana tha.

6.Tmam Anbia (A.S) Aala Ikhlaq k Malik the, Jb k Mirza Qadyani Ikhlaq ka Jnaza tha, Kirdar ki Moat tha.

7. Tmam Anbia (A.S) ne Hameisha Such bola, Jb k Mirza Qadyani ne Apni Zindagi mein Be-Shumar Jhoot bole.

8. Tmam Anbia (A.S) Mu'amlat k Drust the. Jb k Mirza Qadyani Mu'amlat ka Drust na tha, Bat ka Pakka na tha.

9. Kabhi koi Nabi kisi Imtihan mein Nakam nhi hua, Jb k Mirza Tehseel-Dari k Imtihan mein Fail hua.

10. Koi Nabi kisi Wabai bemari se Foat nhi hua, Jb k Mirza Haize ki Wabai bemari se Mra.

11. Nabi Janhan Foat hota he, us ki Tadfeen Usi Muqam pe Amal mein lai jati he, Jb k Mirza Qadyani Lahore nein Mra & Qadyan mein Dafan hua.

12. Koi Nabi kisi Kafir Hukumat ka Khusamdi nhi raha. Mushrik, Kafir Hukumat ki Himayet nhi ki. Jb k Mirza Apni Kitab (Tiryaq-ul-Quloob P:15) mein likhta he:
"Meri Umar ka Aksar hissa Angrezi Saltanat ki Ta'yid & Hamayet mein Guzra he & Main ne #Jihad k Khilaf & Angrez ki Ata'at mein is Qadar Kitabein likiein k wo Ikathi ki jayein, to in se 50 Almariyan bhar jayein."
Laikin Hadees-e-Pak k Mutabiq Musalmano ki 1 Jamat hameisha Haq k liye larti rahe gi. Yeni Qiyamat tk Jihad ka ye Silsila jari rahe ga.

13. Kisi Nabi ki pehli Wahi se le kr Aakhri Wahi tk Grammer ki koi Galti nhi hui, Jb k Qadyani ki Kharafat (Khud-Sakhta Wahi) mein Arbi & Urdu Grammer ki Be-Shumar Galtiyan Mojud hain.

14. Tmam Anbia (A.S) ne Bait-u-Allah ka Hajj/Umra kia, Mirza Is Sa'adat se Mehroom raha.

Kafir & Zindeeq mein kia Farq he?

Ham sb Jante hain k Islam mein Sharab Haram he. Aik Aadmi Sharab Farokht krta he, Ye Mujrim he. Dusra Admi Usi Sharab ko Aab-e-ZamZam keh kr Frokht krta he, Ye b Mujrim he. Laikin dono k Jurm mein Farq he. Dusre Aadmi ka Jurm Zyada bara he.
Isi Trah 1 Aadmi Khinzeer ka Gosht Frokht krta he & saf saf kehta he k ye Khinzeer ka Gosht he. Ye sakhs Mujrim he.
Laikin is k Muqable mein Aik or Shakhs he, Jo Khinzeer & Kutte ka Gosht, Bakri ka Gosht ker Frokht kr raha he. Ye b Mujrim he. Laikin dono k Jurm mein Zmeen-o-Aasman ka Farq he. Aik Hram ko Hram k Nam se beich raha he, Jis k Nam se hi Musalman ko Ghin ati he. Jabke, Dusra Hram ko Halal k Nam se beichta he, Jis se hr Shakhs ko Dhoka ho skta he & wo is k Hath se Khinzeer ka Gosht Kharid kr Halal & Pak samajh kr kha skta he.
Pas, Jo Farq Khinzeer ko Khinzeer keh kr beichne wale & Khinzeer ko Khinzeer keh kr bechne wale k Darmiyan he, Wohi Farq 1 Aam Kafir & Mirzaion k Darmiyan he. Yahudi, Isai, Sikh wgeira Kafir hain, wo khud ko Musalman nhi kehte. Laikin, Mirzai Kafir hain, Phir b khud ko Musalman keh kr Dusron ko Dhoka dete hain.
Aam Kafiron ka sirf 1 Jurm he, yeni Kufr. Laikin Mirzaion k 2 Jurm hain, 1 Kufr & Dusra Apne Kufr ko Islam ka Nam dena.
Balke in ka Teesra Jurm ye b he k wo Tmam Musalmano ko Kafir kehte hain.

Friday, March 23, 2012

Kia Mirzai b Zindeeq hain?

Ji, Mirzai Zindeeq hain. Mirzai Aise Aqa'id rakhte hain, jo Islam ki ro se Khalis Kufr hain. Allah Tala ne Quran-e-Pak mein Hazrat Mohammad (S.A.W) ko Aakhri Nabi Qarar dia. Huzoor (S.A.W) ne 200+ Ahadees mein Mukhtalif Triqon se Masla-e-Khatam-e-Nubuwat Samjhaya k Aap (S.A.W) k bad koi Nabi nhi.
Laikin Mirzai is silsile mein Quran & Hadees, dono ka Inkar krte hain. Lehaza ye Kafir hain.
Laikin Sirf isi pe bas nhi, Mirzai apne Kufr ko Islam ka Nam deite hain. Ye Apne Kufria Aqa'id ko Islam k Nam se peish krte hain & Quran-o-Hadees ko Apne Kufria Aqa'id pe Dhalne k liye in mein Tehreef krte hain. Lihaza, ye Zindeeq hain.
In ka Aik Jurm Kufr he, Dusra Apne Kufr ko Islam ka Nam deina & Teesra Jurm ye he k ye Apne ilawa Tmam Musalmano ko Kafir kehte hain.

Zindeeq kise kehte hain?

Wo log, Jo Kafir hain, Mgr Apne kufr ko Islam kehte hain. Hai Khalis Kufr, Laikin is ko Islam k Nam se Paish krte hain. Ye apne Kufr pe Islam ka Malma krte hain & Apne Kufr ko Ain Islam Sabit krne ki Koshish krte hain. Aise logon ko Zindeeq kehte hain.