Saturday, March 31, 2012

Kia Mirza Qadyani ne Pishein-Goiyan b kien? Kia Is Pishein-Goiyan Suchi Sabit huin?

Mirza ne boht si Pishein-Goiyan kien, Jo Aksar Jhooti Niklein. In mein se kuch ye hain:

1. 1893 mein Mirza Gulam Ahmad Qadyani ne Isai Munazir "Abdullah Aathim" se Munazra kia. Mirza Gulam Ahmad Qadyani Shikast kha gia. Apni khiffat mitane ki liye is ne Isai Munazir k bare mein Apni Kitab [Jung-e-Muqaddis P:209-211] mein Pishein-Goi ki k Jitne din tk Munazrat hota raha, Itne dino k Andar Andar Aathim "Hawia" mein Ja gire ga & Halak ho ga & Agr Zinda bach gia to Main Jhuta Sabit hun ga.
Laikin Abdullah Aathim Muqar'ra wqt k Andar na Mra & Mirza ki ye Pishein-Goi Jhooti Sabit hui.

2. Mirza ne Apni Kitab [Al-Bushra P:155] Pishein-Goi ki: "Ham Makkah mein Mrein ge ya Madina mein."
Laikin Makkah/Madina mein mrna to door, Mirza Qadyani ko Makkah & Madina deikhne ki Sa'adat b Naseeb na hui.

3. "Mohammadi Beigam" Mirza Qadyani k Mamu-Zad Bhai "Mirza Beig Ahmad" ki No-Umar larki thi. Mirza ki Beiti'on k braber thi. Mirza ne Zbardasti Use apne Nikah mein lane ka Irada kia. Larki k bap ne Inkar kr dia & Larki ki Shadi Aik Dusre Shakhs "Mirza Sultan Ahmad" se kr di. Mirza ne 1 Ishtihar [20 Feb 1886] mein ye Dhamki Aameiz Pishein-Goi ki:

1) Larki ka Walid, Ahmad Beig 3 Sal k andar Foat ho jaye ga.

2) Mohammadi Beigam ka Khawind 2.5 Sal mein Foat ho jaye ga.

3) #Mohammadi Beigam mere Nikah mein aye gi."

Laikin ye Pishein-Goi galat sabit hui. Kiun k Ooper wale 3 Dawon mein se Aik b Sucha Sabit na hua.
Mohammadi Beigam ka Khawand Mirza Qadyani k Marne k bad b 40 sal tk Zinda raha & 1948 mein Foat hua. Khud Mohammad Beigam 1966 mein Ba-Halt-e-Islam Foat hui. Mirza Qadyani Bechara is Larki se Nikah k liye Tarasta hi Mar gia.
Aaj b koi Sahib-e-Aqal Mohammadi Beigam k Waqia ko deikh kr Mirza k Jhute & Aubash hone ka Ba-Aasani Yaqee kr skta he.

No comments:

Post a Comment