Anbia (A.S) ki Kuch Khas Khususiyat ye hain:
1. Tmam Anbia (A.S) k Nam Mufrid hain. Jaise "Hazrat Adam (A.S)", "Hazrat Nooh (A.S)", "Hazrat Isa (A.S)", "Hazrat Musa (A.S)" & "Hazrat Mohammad (S.A.W)". Leikin Mirza ka Nam "Gulam Ahmad" Murakkab (yeni 2 Alfaz pe Mushtamil) he.
2. Tmam Anbia (A.S) pe un ki Madri Zuban mein Wahi Nazil hui, Jb k Mirza k Mutabiq is pe Punjabi, Hindi, English, Arbi (etc...) 10 Zubano mein Wahi Nazil hui.
3. Tmam Anbia (A.S) pe Hazrat Jibra'eel (A.S) Wahi le kr aye, Jab k Mirza k Mutabiq is pe Wahi lane wale Farishton k Nam "Tichi Tichi", "Roshan Deen" & "Mithan Lal" the.
4. Kisi Nabi ka koi Ustad nhi hota. Jb k Mirza Gulam Ahmad ne "Fazal Ilahi", "Fazal Ahmad" & "Gull Ali Shah (Shiya)" se Zahri Uloom & Apne Walid se Tip parhi.
5. Tmam Anbia (A.S) Jismani Lihaz se Haseen & Khubsurat the. Jb k Mirza k Nuqoosh meim Twazun na tha, Qad-o-Qamat mein Tnasub nhi tha, Aik Aankh se Kana tha.
6.Tmam Anbia (A.S) Aala Ikhlaq k Malik the, Jb k Mirza Qadyani Ikhlaq ka Jnaza tha, Kirdar ki Moat tha.
7. Tmam Anbia (A.S) ne Hameisha Such bola, Jb k Mirza Qadyani ne Apni Zindagi mein Be-Shumar Jhoot bole.
8. Tmam Anbia (A.S) Mu'amlat k Drust the. Jb k Mirza Qadyani Mu'amlat ka Drust na tha, Bat ka Pakka na tha.
9. Kabhi koi Nabi kisi Imtihan mein Nakam nhi hua, Jb k Mirza Tehseel-Dari k Imtihan mein Fail hua.
10. Koi Nabi kisi Wabai bemari se Foat nhi hua, Jb k Mirza Haize ki Wabai bemari se Mra.
11. Nabi Janhan Foat hota he, us ki Tadfeen Usi Muqam pe Amal mein lai jati he, Jb k Mirza Qadyani Lahore nein Mra & Qadyan mein Dafan hua.
12. Koi Nabi kisi Kafir Hukumat ka Khusamdi nhi raha. Mushrik, Kafir Hukumat ki Himayet nhi ki. Jb k Mirza Apni Kitab (Tiryaq-ul-Quloob P:15) mein likhta he:
"Meri Umar ka Aksar hissa Angrezi Saltanat ki Ta'yid & Hamayet mein Guzra he & Main ne #Jihad k Khilaf & Angrez ki Ata'at mein is Qadar Kitabein likiein k wo Ikathi ki jayein, to in se 50 Almariyan bhar jayein."
Laikin Hadees-e-Pak k Mutabiq Musalmano ki 1 Jamat hameisha Haq k liye larti rahe gi. Yeni Qiyamat tk Jihad ka ye Silsila jari rahe ga.
13. Kisi Nabi ki pehli Wahi se le kr Aakhri Wahi tk Grammer ki koi Galti nhi hui, Jb k Qadyani ki Kharafat (Khud-Sakhta Wahi) mein Arbi & Urdu Grammer ki Be-Shumar Galtiyan Mojud hain.
14. Tmam Anbia (A.S) ne Bait-u-Allah ka Hajj/Umra kia, Mirza Is Sa'adat se Mehroom raha.
No comments:
Post a Comment