Sunday, April 8, 2012

Kia Mirza Gulam Ahmad Qadyani Maseeh Mo'ood tha?

Ahadees Pak k Mutabiq Qiyamat k Qareeb Hazrat Maseeh, Isa bin Maryam (A.S) Nazil hon ge. Ahadees Pak mein in ki Waze Nishanian di gai hain. Mirza Gulam Ahmad Qadyani ne 1891 mein Maseeh Mo'ood hone ka dawa kia. Leikin Ahadees Pak mein btai gai Nishanion mein se 1 Nishani b is mein Mojud na thi. Lihaza wo Maseeh Mo'ood na tha. Lihaza, us ka ye dawa jhuta tha.

Mirza Gulam Ahmad Qadyani k Maseeh Mo'ood na hone k 10 Suboot:

1. Maseeh (A.S) ka Nam "Isa (A.S)" ho ga, Jb k Mirza ka Nam "Gulam Ahmad" tha.

2. Maseeh (A.S) ki Walida ka Nam "Maryam Siddiqa (A.S)" he, Jb k Mirza ki Walida ka Nam "Charag Bibi (Urf: Ghasiti)" tha.

3. Maseeh (A.S) ka Dunya mein Qayam 40 sal ho ga. Jb k Mirza, Maseeh hone k dawe k sath kul 17.5 sal dunya mein raha. [Maseehiyet ka Dawa 1891, Wafat 1908]

5. Hazrat Maseeh (A.S) Hakam-e-Aadil ji Hesiyet se Tashreef layein ge & Millat-e-Islamia ki Sarbrahi & Hukumat-o-Khilafat k Fara'iez Sar-Anjam dein ge. Jb k Mirza ka Khandan Pushton se Angrezon ka Mahkoom & Gulam Chala ata tha. Khud Mirza ka kam Angrezon k liye Jasusi krna tha & wo Angrezon ki Gulami pe Fakhar krta tha. Mirza ko 1 din k liye b kisi jagah ki Hukumat nhi mili.

6. Hazrat Maseeh (A.S) k Nuzool k waqt Yuhood ki Qiyadat Dajjal k hath mein ho gi. Isa (A.S) Dajjal ko qatal krein ge & Yuhood ka Safaya krein ge. Aaj ki Isa'iat (Saleeb Parasti) ka Madar is Aqide pe he k Hazrat Isa (A.S) ko (Ma'az-Allah) Sooli pe latkaya gia. Hazrat Isa (A.S) ka Zinda hona is Aqide ki Moat ho gi. Is liye Tmam Isai Musalman ho jayein ge & 1 b Saleeb dunya mein baqi nhi rahe gi. Laikin Mirza k dor mein na Dajjal ka Khurooj hua, Na hi wo Qatal hua & Na hi Sare Isai Musalman huye. Jo Shakhs (Mirza) khud Saleebi Taqton ka Jasoos ho, wo Saleeb ko kaise Khatam kr skta tha?
Qatal-e-Dajjal, Hazrat Isa (A.S) ka 1 Azeem-u-Shan Karnama ho ga. Ahadees mein Dajjal, Is k Khurooj & Qatal ki Tafaseel btai gai hain. Dajjal ki Jo Siffat Hazrat Mohanad (S.A.W) ne btai hain, In Siffat ka Dajjal Aaj tk Is Dunya mein nhi nikla & na hi kisi ne Ise Qatal kia.

7. Hazrat Maseeh (A.S) k Zmane mein Tmam Mzahib Khatam ho jayein ge, Sirf Islam Baqi reh jaye ga. Sheir, Oonton k sath; Cheete, Gaye & Bailon k sath; Bheiriye, Bakrion k sath charte phirein ge. Bache Sanpon se kheilen ge & wo in ko Nuqsan na dein ge. Jb k Mirza k dor mein in mein se 1 bat b na hui.

8. Hazrat Maseeh (A.S) Nuzool k bad logon k Mazhabi & Nafsani Ikhtilafat mit jayein ge, Logon k Darmyan Adawat & Kaduwwat baqi na rahe gi. Chun k Islam k Ilawa Tmam Mzahib mit jayein ge, Is liye na Jang ho gi & na Jizya ho ga. Laikin Mirza k dor mein in mein se 1 Alamat b nhi pai gai. Dunya k Tmam Mzahib Jun k Tun Mojud hain, Jang-o-Jadal b Jari he. Ulta Mirza ne Angrez Hukumat k Khilaf Jihad ko Hram Qarar dia (Yeni Hadees-e-Pak ka Galat Matlib lia).

9. Huzoor (S.A.W) ne Hazrat Maseeh (A.S) k Halat ka zikr krte huye in k Hajj-o-Umra krne & Roza-e-Aqdas pe Hazir ho kr Slam Peish krne k Zikr Khas tor pe Frmaya he. Jb k Sari Dunya Janti he k Mirza Hajj & Ziyaret ki Sa'adat se Mehroom raha.

10. Huzoor (S.A.W) k Irshad k Mutabiq, Apni Muddat-e-Qayam Mukammal krne k bad Hazrat Maseeh (A.S) ka Intiqal ho ga, Musalman in ki Namaz-e-Jnaza parhein ge & inhein Roza-e-Athar mein Aap (S.A.W), Hazrat Abu-Bakar (R.A) & Hazrat Umar (R.A) k sath Dafan kia jaye ga. Laikin sari Dunya Janti he k Mirza ko Roza-e-Athar ki hawa b Naseeb na hui. Wo to India k Qasbe "Qadyan" mein Dafan hua.

Lihaza, Sabit hua k:
Mirza Gulam Ahmad Qadyani "Maseeh Mo'ood" na tha.

Note: Hazrat Maseeh (A.S) k liye "Maseeh Mo'ood" ki Istilah Ahadees mein Istimal nhi hui, Balke ye b Mirza ki Ijad he.

No comments:

Post a Comment