Musalmano ki trah Isa'i b Hazrat Isa (A.S) ki Aamad k muntazir hain. Ahl-e-Magrib ki aksariat La-Deen samjhi jati he. Laikin is k ba- wajud wo is hawale se nahaiyet sargaram hain. Sirf Amerika mein 80000 bunyad prast Padri mojud hain. In padrion k 1000 Christian Radio Stations or 100+ TV Stations hain. In mein se bare tadad "Dispensationalisms" ki he. Ye wo log hain jo Hazrat Isa (A.S) ki aamad or Azeem Tareen Jang pe Yaqeen rakhte hain. In ki tadad barh rahi he. Kuch bare Idare, jo "Dispensationalist" Aqide ki taleem daite hain, in mein
Dusri taraf Yahud b apne Aqideb or Mansoobe pe puri trah amal paira hain. Is silisile mein Amerika or Isra'il k kuch Newspapers se
News paish kr raha hun:
- "The Bible Institute of Shakago"
- "Fladifia College of Bible"
- "The Bible Institute of Lass Angel"
or in jaise 200 colleges or Institutes Shamil hain. 1998 mein Bible Schools k Students ki Tadad 1 Lakh se zyada thi. Yehi Students yahan se nikal kr Padri bnein ge or apna alag Bible School khol kr apne Aqide ki tableeg krein ge.
Is waqt Amerika k 1/4 log "Dispensationalist" hain. In ka aqida ye he k "Muqadas Bap" k ane k bad inhein Aasmano pe utha lia jaye ga. Jahan se wo Jand ka nazara "Grand Stand Seats" mein baith kr krein ge. In ki tehreek boht taizi se phail rahi he. Is ka maqsad dunya k har shakhs tk "Maseeh" ka paigam pohnchana he. Is tanzeem ko bare bare or Mashoor Maldar Amerikan Mali amdad fraham krte hain. In logon ka asar Amerika k hr tabpe per he. Maslan...
- Amerika k X-President "Ronald Ragen" ne 1981 Padri "Jim Baker" se bat krte huye kaha tha: "Zara Sochiye! Kam se kam 20 Karor sipahi Mashriq se hon ge or Kroron Magrib se hon ge. Saltanat-e-Roma (Western Europe) ki Tajdeed-e-Nao k bad phir Isa Maseeh (A.S) in pe hamla krein ge jinhon ne in k sheher "Yroshalam" k garat kia he. Is k bad wo in fojon pe hamla krein ge to "Armegadon" ki wadi mein ikathe hon ge. Is mein koi shak nhi k Yroshalam se 200 Meel tk itna khun bahe ga k wo zameen se ghoron ki bhag k brber ho ga. Ye sari wadi jangi saman, Janwaro or Insano k zinda jismon or khoon se bhar jaye gi. Aisi bat samajh mein nhi ati. Insan dusre insan k sath aise Gair-Insani aml ka Tasawur b nhi kr skta. Laikin us din Khuda insani fitrat ko ye ijazat de de ga k apne Aap ko puri trah zahir kre.Dunya k sare sheher London, Pairus, Tokio, New York, Los Angeles, Shakago, sb Khatam ho jayein ge."
- Famous Amerikan Writer "Grace Hall Cell" likhti he: "Amerika mein 8 sal tk 1 aisa Sadar (Ronald Ragen) raha he, jise yaqeen tha k wo waqt k khatme per zinda rahe ga. Balke ye aas lgaye baitha tha k ye waqiya is k intizami zmane mein hi paish ay ga."
Musalman or Isa'i, Dono Hazrat Isa (A.S) ka intizar kr rahe hain. Jb k Yahud ko Anti-Christ (Dajjal) ka intizar he. Hairat ki bad ye he k Is k bawjud Isa'i Yahud se dosti or Musalmano se dushmani krte hain.
Dusri taraf Yahud b apne Aqideb or Mansoobe pe puri trah amal paira hain. Is silisile mein Amerika or Isra'il k kuch Newspapers se
News paish kr raha hun:
- "Rawrand Kalaid Lot" 1 Pinti Costal Padri hain. Unhon ne Bible ki 1 Ibarat ki is trah tafseer ki he k Yahud k 3rd Hackal ki Tameer lazmi tor per Yrorhalam mein Maseeh ki dusri bar Aamad se pehle ho gi. Kalaid Padri Surakh bail ya Kanwari gaye ko, jo bilkul Be- dag ho, zebah krne k liye kehte hain. Jis k bad Aainda Hackel ki Tameer ki rasam puri ho gi. Is ki khatir Qadeem Islami Ibadat Gahon (Masjid-e-Aqsa or Gunbad-e- Sukhra) ko musmar kr daina ho ga. Kalaid ko yaqeen he k Khuda ki sharakat se ye kam Munasib waqt mein ho jaye ga."
- (New York Times: 27/12/1998) Apne ap ko Isa'i kehne wale is padri k nazriyat ise Khalis Yahudi Sabit kr rahe hain. 2. 1998 k end mein Isra'il se Net pe 1 News nashar ki gai, jis mein kaha gia he k: "Hmara Maqsad Musalmano ki Ibadat Gahon ko Aazad krana or in ki jaga Hackel ki Tameer he. Is Hackel ki Tameer k nahayet Mozu waqt aa gia he. Hmara (Isra'ily) Hukumat se Mutalba he k wo jald az jald Islami Qabze ko Masjid ki jaga se khatam kraye. 3rd Hackel ki Tameer boht qarib he."
- "Isra'il ko Apni Aakhri Azeem Tarikhi Drame k liye bas 1 waqiye ki zururat he. Ye he is ki Purani zameen pe 1 Purani Ibadat Gah ki Dobara Tameer. Hazrat Musa (A.S) k Frman k mutabiq ye Ibadat Gah "Mount Moriah" pe Tameer ki jaye gi. Ye wohi jaga he, jahan Masjid-e-Aqsa or Gumbad-e-Sikhra hain."
Fikar krne ki bat ye he k Jhute nazriyat wale Apne Nazriyat pe puri trah Aml kr rahe hain, jb k Sache Deen k Man'ne wale is silsle mein be-khabr hain. Kia ye hmare liye Sharam ka Muqam nhi?
No comments:
Post a Comment