Jb Mirzai Kalma parhte hain to Lafz "Mohammad" se in ki Murad Mirza Gulam Ahmad Qadyani hota he. Qadyani kehte hain:
"Mirza Gulam Ahmad Qadyani khud Mohammad-u-Rusool-u-Allah hain, jo Isha'at-e-Islam k liye dobara Dunya mein Tashreef laye."
In k Nazdeek Hazrat Mohammad (S.A.W) ko Dunya mein dobara ana tha. So, Pehle Aap (S.A.W) Makkah Mukarma mein Tashreef laye & Dusri bar Aap (S.A.W) ne Gulam Ahmad Qadyani ki Shakal mein Mirza Gulam Murtza k ghar mein Janam lia. (Nauz-u-Billah)
Is Nazriye k Mutabiq Qadyani Mirza ko "Ain Mohammad" Samajhte hain. In ka Aqida he k Nam, Kam & Martba k lihaz se Mohammad-u-Rusool-u-Allah (S.A.W) & Mirza Gulam Ahmad k darmyan koi Farq nhi & na hi wo dono alag alag Wujood hain. Balke dono 1 hi Shan, 1 hi Martba & 1 hi Nam Rakhte hain.
Balke, In ka Aqida ye he k Mirza, jo Qadyan mein paida hua, wo Mohammad (S.A.W) se, Jo Makkah meim paida huye, Shan mein barh kr he. (Nauz-u-Billah)
Mirza k 1 Mureed Qazi Zuhoor-u-Deen ne Mirza ki Shan mein 1 Nazm likhi. Mirza ise sun kr boht khush hua. Is Nazm k 2 Shair ye hain:
"Mohammad Phir Utar aye hain ham mein,
Or Aage se barh kr hain Apni Shan mein;
Mohammad deikhne hon jis ne Akmal,
Gulam Ahmad ko deikhe Qadyan mein!"
Ye he Qadyanion ka "Mohammad-u-Rusool-u-Allah", jis ka wo Kalma parhte hain. Ye Musalamano ko dhoka deite hain. Jb Kalma parhte hain to "Mohammad-u-Rusool-u-Allah" se in ki Murad Mirza Gulam Ahmad Qadyani hi hota he.
No comments:
Post a Comment