Molana Sana-u-Allah, Mirza Qadyani k Sakht Mukhalif the. Mirza ko in pe boht Gussa tha. Is ne 15 April 1907 ko Molana Sahib ko 1 Khat likha. Ye Khat Mirza ki Kitab [Hayat-e-Tiyyiba, P:423-425] mein mojud he. Khat k Alfaz ye the:
"Agr Main Aisa hi Jhuta hun, Jaisa k Aap Muje Apne hr 1 Parche mein yad krte hain to Main Aap ki Zindagi mein hi Halak ho jaun ga. Kiun k Main Janta hun k Jhute ki boht Umar nhi hoti & Aakhir wo Zillat & Hasrat k sath Apne Dushmano ki Zindagi mein hi Halak ho jata he & Is ka Halak hona hi behter he. Ta k wo Khuda k Bandon ko Tbah na kre.
Or Agr main Kazzab & Muftari nhi hun (yeni Jhuta nhi hun) & Khuda Mujh se Ham-Kalam hota he & Maseeh Mo'ood hun, to Main Khuda k Fazal se Ummeed rakhta hun k Sunnat-u-Allah k Mawafiq Aap Jhuton ki Saza se nhi Bach skein ge.
Pas, Agr wo Saza, jo Insan k Hathon mein nhi, Balke Allah k Hathon mein he. Jaise Ta'oon, Haiza, Muhlik Bimariyan, Aap pe Meri Zindagi mein hi Warid na hoiyen to Main Khuda Tala ki Taraf se nhi. Allah is bare mein Faisla Frma de."
Mirza ne Allah se Faisla Manga, wo 1908 mein khud Haize se Mar gia. Jb k Molvi Sana-u-Allah is k Marne k bad Taweel arsa tk Zinda rahe & Tab'ee Mot pa kr Dunya se Rukhsat huye.
No comments:
Post a Comment